Shayri
NA KARNA!
Had se zyada tum pyar na karna.......
dil har kisi pe nisaar na karna.
Kya khabar ki kab ruk jaaye.......
Is saans ka tum ethbaar na karna.
Aaine ki nazar na lag jaaye
is tarah se sringaar na karna...
Teer teri hi taraf lautega
Bas tu hawa me shikar na karna
Aur jisme doob jaane ka khathra ho
Ayse darya ko kabhi paar na karna
Comments
Post a Comment